REVENGE in Urdu Short Stories by Arsal Mobin books and stories PDF | REVENGE

Featured Books
  • ذہن کی گوگل کتاب

    ایمان کے ساتھ زندگی گزارنا آسان ہو جاتا ہے۔ غم کے دنوں میں ہ...

  • زندہ لاش

    زندہ لاش کی لمبی عمر کی دعا نہ کریں۔ تمہیں پوری سزا مل چکی ہ...

  • ساجن کا خط

    محبت بھرا خط لکھنے میں وقت لگتا ہے۔ کچی کلیوں کو کھلنے میں و...

  • REVENGE

    CHAPTER 1: THE RIVALRY BEGINS Ek baar Pakistan ke sheher Kar...

  • دل کی بات

    اپنے ہونٹوں پر مسکراہٹ رکھیں ہمت کو ذہن میں رکھیں   صرف...

Categories
Share

REVENGE

CHAPTER 1: THE RIVALRY BEGINS

Ek baar Pakistan ke sheher Karachi mein ek teenager jiska naam "Zohaib" hai uska admission "UK" ki ek badi university mein hojata hai, jiski umar sirf "19 Saal" hai. Lekin woh teenager ek middle-class family se belong karta hai. Jaffar aur Shagufta ( Zohaib ke Baba Aur Mamma ) usko padhne ke liye uk bhej de dete hai, sabse khatarnak underworld don "Bhutta Don" se 10 lakh udhar leke aur uss don se wada kiya keh 5 mahine mein wapas kardenge.
Phir Zohaib UK chala gya, lekin usko yeh nahi pata tha keh UK jaane ka kharcha uske parents ne kisi don se udhar lekar kiya hai.

After 5 Months:

Jaffar aur Shagufta baat kar rahe hote hain keh "5 mahine hogye aur abhi tak sirf 4 lakh jama hoe hain". Yeh dono baat kar hii rahe the keh Zohaib ka UK ke hostel se call agya. Zohaib ne apne maa baap se baat ki aur call rakh kar teeno so gye. Agle din Jaffar aur Shagufta ne socha Bhutta don se maafi mang kar kuch mahine ki mohlat aur mang lein
Phir woh dono Bhutta don ke ghar gye aur iss baare mein baat ki. Lekin Bhutta don ne mana kardiya aur kha "10 din se bol rahe ho ab doge kal doge aur ab koi mohlat nahi mile gi", tumhe pata hai log mujhe Bhutta don kyun bolte hain! Jaffar bolta hai "pata nahi", Bhutta don kehta hai keh "log mujhe bhutta don isliye kehte hain keh jo meri baat nahi manta aur mere khilaf hojata mein usse bhutte ki tarah sekh deta hon". Isske baad unn dono ne bohat hath pair jore aur phir Bhutta don ne thoda taras kha kar 15 din ki mohlat dedi. Par asliyat mein ussne unko gumrah karne ke liye mohalat de thi.
Aur jab woh dono chale gye toh Bhutta don ne apne favourite admi "Zozu" ko keh kar ussi raat unke ghar par attack karne ko kaha. Uss raat Jaffar ke ghar ki ghanti baji Shagufta ne darwaza khola aur dekhte hii dekhte Zozu ne Shagufta ko jaan se maar diya aur Jaffar jab Shagufta ko bachane pahuncha toh Zozu ne ussko bhi goli maar di.
Goliyon ki awaaz sun kar padosiyon ne bhi Police bula li lekin Bhutta don ne Police ko paise khila kar mamla rafa dafa kardiya. Aur yeh baat jab Zohaib ko pata chali toh woh pehli flight pakar kar Karachi aagya kyunke uski vacations bhi chal rahi thi. Aur phir woh apne maa baap ko dafna kar, apna ghar lock karke wapas UK apni padhi puri karne chala gya. Aur jab woh wahan gya toh usne apne liye ek part-time job dhund li taake woh apne college ki fees bhar sake.

After 5 years:

Zohaib ki parhai ab puri hogyi thi, toh usne socha keh job dhundne se pehle Pakistan jakar apne ammi abbu ki qabar par "Fatiha" par aao aur issi bahane apne rishtedaaron se bhi mil longa. Toh Zohaib ne apne aane ki baat apne cousin "Sohail" ko batai toh woh khush hogya.
2 din baad Zohaib Pakistan aagya aur usse Sohail ne airport se pick karliya. Pehle woh apne chacha chachi se mil kar wahi 2 din raha kyunke uska ghar bohat ganda ho raha tha. Lekin phir Zohaib ko apne ghar jaane ka dil chah toh woh Sohail ke sath ghar chala gya. Ussi din paunch kar ghar ki safai karne laga. Safai karte karte usse ek diary mili, toh usko yaad aaya keh Papa roz diary mein apne baare mein likhte the.
Iske baad Zohaib ne diary parhi toh woh rone laga. Sohail ke pouchne par usne bataya keh "mere ammi abbu ne Bhutta don se paise udhar lekar aur 5 mahine ki mohlat mang kar mujhe parhne ke liye UK bheja tha". Aur phir usne akhri page parha toh usse pata chala keh woh 5 mahine mein paise us don ko nahi de paye toh woh uske ghar gye toh usne 15 din ki mohlat di thi. Yeh parhne ke baad usne notice kiya keh uss pg pe khoon laga hoa hai.
Toh Zohaib aur Sohail ko shak hoa keh kahin Bhutta don ne toh uske maa baap ko toh nahi marvaya. Phir Sohail ne Zohaib ko kha keh hum dono Bhutta don ke bungalow par nazar rakhte hain

After 1 month:

1 mahine se nazar rakhne par pata chala keh unka ek khabri hai jiska naam "Bardol" hai woh bohat dhila sa hai toh Zohaib aur Sohail ne uss Khabri ko kidnap karke yeh jan liya keh Bhutta don ne hii Jaffar aur Shagufta ko marwaya hai. Yeh sun kar toh Zohaib ko bohat gussa aata hai aur kehta hai "USS BHUTTE KO MEIN JAAN SE MAAR DONGA", Sohail Zohaib ko chup karata hai aur woh dono uss khabri ko pouchte hain keh "Bhutta don ko kaise maar sakte hain?". Aur khabri se pouchne par pata chalta hai keh agar Bhutta don ko jan se marna hai toh uske dus admiyon ko jaan se marna hoga, kyunke agar inn 10 logon ko maar diya toh Bhutta don kahin ka nahi rahe ga. Sohail bolta hai "ek toh woh Zozu hoga baki ke tum batao". Khabri bolta hai "pehle baat toh Zozu Bhutta don ka favourite admi hai, khas admi nahi hai aur dusri baat pehle 10 hazaar do phir naam batonga".

~To Be Continue: .............
Kon honge woh dus admi? kya Zohaib badla le paye ga ya nahi?Yeh sab jaane ke liye Chapter 2 parhye!
~See u in Chapter 2............